Thursday, February 29, 2024

 This is a short poem that I wrote after facing dejection in mains 2022. Hope that this will help you all in sailing through tough times..


Mann bechain hai, jaise kuch peeche choot sa gya

Aankhein nam hai, jaise koi sapna toot sa gya 

Darr rha hun main phirse ladne se 

Lekin aadat se majboor hun, main phirse himmat jutaane lag sa gya. 


Aasmaan mein lehraane ki chah thi,

Toh matti par gaseeth jaane ka dum bhi tha

Ek nahi kai kai baar gira hun main,

Islye aaj har mushkil se ladne ko tayyar khada hun main


Chodd do uss banjar andheri raah mein hamko,

Ham phir akele paar karke dikha denge tumko

Khud par yeh yakeen hai, ise mera guroor na samjhna,

Pehle meri raah par chal kr toh dekho, dum bache, tab mjhe parakhna



- Dr. Sachin Goel
(07/12/2022)